Fee Sittate Ayam - 6 Days
Quran me buht baar ye alfaz humain parhny ko milty hen “Jis
ny banaya Asmaan aur Zameen ko 6 dino me phr Arsh pr ja thehra”. Ab yahan aik
sawal uth’ta he, 6 Din? Allah chahta to isy “Kun Fayakun” keh kr aik lamhay me
bana deta, to 6 din kyu lgaye gaye?
Surah “Haa meem As-sajda” ya “Surah Fussilat” Parhi jaye to
start me in 6 days ka breakup dia hua he. Allah frmata he k Zameen ko 2 din me
banaya gaya, phr 2 dino me Pahar, Zameen me Barkat, aur “tamam talbgaaro” k
liye is me Samaan-e-Ma’eeshat rakha gya. Ye hogaye 4 Din. Us ky baad Allah Arsh
pe ja thehre aur 7 Asmaan bnaye. Usmy se Dunya ka Asman, Pehla Asmaan Beautify
kia Sitaro k sath aur ye sb 2 din me hua. Aur ye hogaye Dunya aur Asmaan k liye
total 6 Din.
Ab Yahan 2 points note krny chahyen. Aik to “Kun Fayakun”
Nahi kaha gaya, and secondly buht clear cut timeline banai gai k kub kya aur
kesy hua. Allah ne Aisa Kyun kia? Hikmat..! Allah Apni Ayat me Aqal walo k liye
Nishaanyan aur Mutaqeen k liye Hidayat rakhta he. Allah ne yahan bhi aik hikmat
rkhi he aur wo “Planning and Scheduling ki he”. Insaan buht Jald Baaz Makhlook
he. Ye mera Tadabur nahi, Quran k alfaz hen. Hum hr cheez jald az jald krna
chahty hen. Bachy hon to Baray hony ki Jaldi, Parhai kr rahy hon to Usky Khatam
hony ki Jaldi, Job kr rahy hon to Promotion ki jaldi.
Allah ne Dunya ki takhleek se insaan ko lesson dia he k
jaldi na kia kro. Koi b major and important kaam krna ho to sabar aur tahamul k
sath krna chahye. Jaldbaazi nahi krni chahye. Plan krna chahye k kesy proceed
krna he. Schedule krna chahye k konsa kaam pehly and konsa kaam baad me krna
he. Phr Aapkay kaam me Ghalti k chances kum hongy. Us me perfection aajayegi.
Husn Ajayega.
Kehny ko to ye buht normal si, buht simple si baat. But
dekhen to Sahi k Allah ne isy kesy khubsoorti se bayaan kia he. And na sirf
Bayan kia he blky practically implement bhi krky dikhaya he. Aur Aap dekhen k
waqai Asman aur Zameen ki takhleeq me koi Futoor, Koi Nuqs, Koi Defect nazar
dorany se bhi nazar nahi ata.
To is Ayat se 2 lessons milty hen humain. First to ye k
Humain Jald-baaz nhi hona chahye kbhi bhi. Hr kaam tahamul k sath soch smjh k
krna chahye. Chahe Deen ka ho ya Dunya ka. Second ye k Koi bhi advice sirf
bolny se pur-asar nhi bnjati. Usky liye Amal krky dikhana bhi zruri he. Guftaar
hi nahi, Kirdaar bhi Lazim he. Qoal hi nhi, Amal bhi Zruri he. Jesy Allah ne
Dunya aur Asmaan ki takhleeq me humary saamny rakha he aur in ayaat k through
humain btaya he.
Talib-e-Dua
Well said...I like to subscribe it
ReplyDeleteMA SHA ALLAH very well explained. Jazak ALLAH hu Khairan.
ReplyDelete